Wed 25 Aug 2010

Main Madinay chala, mein Madinay chala,
Phir karam ho gaya main Madinay chala.

Kaif sa cha gaya main madinay chala,
Jhoomta jhoomta main madinay chala.

Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar,
Chahiye aur kya main Madinay chala.

Dharkano tumhi kaho waqt woh kaisa hoga,
Samanay ankhon kay jab gunbad-e-sabz ho ga.

Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar,
Kya suroor aega main Madinay chala.

Jab gumbad-e-khizra pe woh, pehli nazar gayi,
Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi.

Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur,
Paye ga dil jila, main Madinay chala.

Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi,
Larkharaata hua main madinay chala.

Mere Siddique Umar (raa) ho salaam aap par,
Aur rehmat sadaa main Madinay chala.

Woh uhod ki zammen jis k ander makeen,
Mere hamza piya main Madinay chala.

Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar,
Daikho daikho zara main Madinay chala.

Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe,
Tum bhi daikho zarra main Madinay chala.

Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain,
Woh talab se siwa main Madinay chala.

Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor,
Bakhswanay chala main Madinay chala.

Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen,
Mere Madani Zia main Madinay chala.

Un k minaar par jab paray gi nazar,
Kya saroor aega main Madinay chala.

Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar,
Kya saroor aega main Madinay chala.

Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay,
Jab chalay qaafila main Madinay chala.

Kya karega idher baandh rakht-e-safar,
Chal may to chala main Madinay chala.

Main tou bus yoon hi tha meri ki aukaat kya,
Qaafia yeh mila main Madinay chala.

Tags:
Categories : Thoughts / Lessons
Comments here

Comments



Add Comment Post comment

 
 
 
   Country flag

Loading

Captcha





Ads