Serious Poetry
Funny Poetry
  • Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya, Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya, Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai, Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya
  • Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain
  • Hum Labon Se Keh Na Paaye Unse Haal e Dil Kabhi Aur Woh Samjhe Nahin Yeh Khamoshi Kya Cheez Hai....
  • HUMSAFAR NA MILA, TO THAM GAYA THA KAARVAN AIK TARA BHI HUMSE CHHN GAYA, MAANGA JO HUMNE AASMAN
  • In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Hum Kitne Akele Hain
  • kya din the woh zindgi ke jab tum hamare saath the apne haathon mein leke chalte tumhara haath the ai khuda mujhe mere woh din lauta de mujhe meri zindgi lauta de
  • arjoo thi jishki woh tum nahin ho mohabat hai jish-se woh tum nahin ho masoom hai jo woh tum nahin ho zindigi hai jish-se woh tum nahin ho sajni hai jo woh tum nahin ho sapna hai jo woh tum nahin ho tum jo nazar aati ho, hamesha meri nazaron mein woh tum tum nahin ho
  • zindgi mein ek hi dukh hai ki tum hamare sath nahin thodi der se milo par marne ke bad nahin
  • jo dard ta tere seene mein woh humne kab nahi samjha kyon tune fir humko kabhi apna nahi samjha tere liye to hum kuch bhi kar dete taare tod ke tere anchal mein saja dete
  • aaj teri yaad aayi to aansu nikal aye dil aaj bhi yeh sochta hai tum kyon na humein mil paye
  • Gaa to hum bhi sakte hain gar awaaz ho to, Baja to hum bhi sakte hain gar saaz ho to, Kaun kehta hai Shah Jahan ne Taj banaya, Bana to hum bhi sakte hain, gar Mumtaz ho to
  • HUM NE TO MUHOBBAT MEIN APNE WAJOOD KE DO TUKDE KIYE; EK KO KHUD SE JUDA PAYA; EK PE TERA NAAM KHUDA PAYA .
  • Suna hai waqt ke saath halat badal jate hain Insan badal jate hain, jazbat badal jate hain Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon Main tumse pyaar karta hoon Main tumse pyaar karta hoon
  • In haseeniyon se pyaar kya karna... In adayon se pyaar kya karna... Yeh Zakhm de kar hasa karti hain.... In bewafayon se pyaar kya karna
  • ye mera dil is dil ki halat kaise bataun tumhe ye dil ab dil na raha di ki awaz kaise sunaun tumhe kishi ke mohabat main thukraya gaya hai ye ye dil mein jo dard hai kaise dekhaun tumhe
  • Tu Mili to zindigi mili Tujako dekha to zindagi ko dekha
  • TUTE HUA DIL KE DARD KA BHI ALAG MAZA HAI , JO USKO MEHSUS KARTA HAI VO USHI KO PATA HAI.
  • kisi bhi mausam ka asar abb humpe hota nahi, yaro hum ne tau registan(desert) ki aadat dal rakhii hai
  • Hum se kya khathaa huvien, mail aanaa bandh hai... Aap hi humse naaraaz hai, ya mail server bandh hai?!
  • MOHABBAT KE LIYE KUCH KHAAS DIL MAQSOOS HOTE HAI YEH WOH NAGMA HAI JO HAR SAAZ PE PAAYA NAHI JAATA
  • Dil ki lagi kuch asi lagi, hum dil hi gawa bhetain, ye dil ka lagana kya hua ek rog laga bhetain
  • har rahi ko manzil nahi milti, har mujrim ko saza nahi milti, mera bhi khwaish hai TajMahal banane ki, magar har kisi ko Mumtaz nahi milti
  • kal bhi intezaar tha un ka, aaj bhi hai kal thi udaasi unhe paane ki, aaj unhe khokar udaas hai..
  • Raat ko jalte diye din me Bhuja karte hai Hum to tere pyaar me din raat jala karte hai
  • Tumhari Mohabbaatne Hume, Kya Kya Bana Diya... Jab Kuch Na Ban Sake, To Tamasha Bana Diya.
  • Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai
  • yadon kay dareechon ko zara khol kar dekho kay ham wohi hain ya nahi kareeb say dekho woh apnay ishq may kaisa kamal rakhta hay kay bairukhi may bhi mera khiyal rakhta hay jo aaj mera nahi hay woh kal mera ho ga kay har zamana urooj o zawal rakhta hay nazar may meri wafa ki misal rakhta hay
  • Sunoo Acha nahin lagta ... ! Suno Acha Nahi Lagta Kay Koi Doosra Daikhay Tumhari Sharbati Aankhain Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain Siyah Lambi Ghanee Zulfain Saharay Doosra Koi Mujhay Acha Nahi Lagta Suno Acha Nahi Lagta Karay Jab Tazkara Koi Karay Jab Tabsara Koi Tumhari Zaat Ko Khoojay Tumhari Baat Ko Soochay Mujhay Acha Nahi Lagta Suno Acha Nahi Lagta Tumhari Muskurahat Per Hazaroon Loag Martay Hoon Tumhari Aik Aahat Par Hazaroon Dil Dharaktay Hoon Kise Ka Tum Pe Yuun Marna Mujhay Acha Nahi Lagta Suno Acha Nahi Lagta Hawa Guzray Tumhain Choo Kar Na Hoga Zabt Yeh Mujhsay Karayy Koi Tumsay Gustakhi Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain Tumharay Lams Pi Ja-ain Mujhay Acha Nahi Lagta Suno Acha Nahi Lagta Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain Tumharay Paas Say Mehkain Ya Chanda Ki Guzarish Hoo Kay Apni Roshni Bakhshoon Rukh-e-Jana Koi Daikhay Mujhay Acha Nahi Lagta
  • Pathar ko bhi pani kar de hum woh jaan rakhte hai, anjaan ko bhi apna bana le hum woh pehchaan rakhte hai.
  • aaj teri yaad aayi to aansu nikal aye dil aaj bhi yeh sochta hai tum kyon na humein mil paye
  • Aik Baat Kahoon ? Aik baat kahoon Agar suntey ho ? Tum Mujh ko achey lagtey ho Kuch chanchal se , kuch chup chup se kuch pagal pagal lagtey ho hain chahney waaley aur buhut par tum mein hai aik baat buhut............. Tum apney apney lagtey ho Aik baat kahoon Agar suntey ho ? Tum Mujh ko achey lagtey ho Yeh baat baat pe kho jaana kuch kehtey kehtey ruk jaana yeh kiss uljhan mein rehtey ho....? Kiya baat hai hum se keh daalo Aik baat kahoon Agar suntey ho ? Tum Mujh ko achey lagtey ho
  • KUNGAN ( bracelet) kaash mein terey haseen haath ka kungan hota Toou barey chaao se, barey maan ke saath apni nazuk si kalaai mein charhati mujh ko aur betaabi se furqat ke khizaan lumhoon mein . Toou kissi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko Mein terey haath ki khusboo se mehek sa jata Jab kabhi mood mein aa kar mujhey chooma karti Terey honton ki mein hiddat se dehek sa jata Raat ko jub bhi toou neendon ke safar par jati Murmareen haath ka ek takiya banaya karti Mein terey kaan se lug kar kai baatein karta Teri zulfon ko terey gaal ko chooma karta Jub bhi tu bund qaba kholney lugti janaan Apni aankhon ko terey husn se kheera karta Mein teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta Mein terey jissem ke aangan mein khanakta rehta Kuch nahin tu yahi be-naam sa bandhan hota Kaash mein terey haseen haath ka kungan.
  • NA MAIN PASS US KO BULA SAKA NA MAIN DIL KI BAAT SUNA SAKA WO HANSI HANSI MAIN HI CHAL DIA KAY MAIN HAAT TAK NA HILA SAKA MUJHAY KIA KHABAR KAY WO KIA HOWA MUJHAY KITNA GHAHRA KHUMAR THA MAIN KHARA THA US KAY HISAR MAIN MERAY IRAD GIRD MAIN GUBAR THA YOONHI SOOCHTA RAHA DAIR TAK MAGAR US KO KUCH NA BATA SAKA NA MAIN PASS KO BULA----------------- YEE BHI THEEK HAY WO CHALA GAYA MUJHAY BAND RASTAY PE CHOOR KER YEE BHI THEEK HAY NA AYEE GA KHABHI BUT ANA KA WO TOOR KER WO JUDDA BHI KAISAY HOWA KAY MAIN KOEE RASM BHI NA NIBHA SAKA NA MAIN PASS US KO BULA SAKA NA MAIN DIL KI BAAT SUNA SAKA WO HANSI HANSI MAIN HI CHAL DIA KAY MAIN HAATH TAK NA HILA SAKA
  • kaun kehta hay kay darpok hay memon ... mehnato azmato ka paikar hay memon darta nahi memon toofano se takrane main ... mandi ke daldal se bhi guzar jata hay memon kamzor agar nazar ata hay memon ... haqeeqat may kay dajra balwan hay memon sakhawat ki koi bhi had nahi memon kay pass ... sultano may sabse bara sultan hay memon
  • Yeh duniya ghum deti hai Sharike ghum nahin hoti Kisike door rehne se Mohabbat kam nahin hoti
  • Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar, Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah. Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen, Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah.
  • Jis Shaam Mere Lab Per Tera Naam Na Aaye, Khuda Kare Aisi Shaam Na Aaye.... Aai Jaane Wafa, Ye Kabhi Mumkin Hi Nahin, Afsaana Likhnu Aur Tera Naam Ma Aaye.
  • 4.Yaad karte hai tumhe tanhai mein, dil dooba hai gamo ki gehrai mein, hume mat dhoondna duniya ki bhid mein, hum millenge tumhe tumhari parchaai mein.....
  • 5.Humse door jayoge kaise, Dil se hume bhulayoge kaise, Hum to vo khusboo hain jo aapki saanso mein baste hain, Khud ki saanso ko rok payoge kaise
  • 16.When Nights are long & Friends are few, I sit by my Window & think of u. a silent whisper a silent tear. with all my Heart i wish you were here.
  • 31.Smile a while and while you smile, smile another smile and soon there will be miles and miles of smile just because you smiled, i wish your day is full of SMILE
  • zindagii ke mele me.n zindagii ke mele me.n Khvaahisho.n ke rele me.n tum se kyaa kahe.n jaanaa is qadar jhamele me.n vaqt kii ravaanii hai baKht kii giraanii hai saKht bezamiinii hai saKht laamakaanii hai hijr ke samandar me.n taKht aur taKhte kii ek hii kahaanii hai tum ko jo sunaanii hai baat go zaraa sii hai baat umr bhar kii hai umr bhar kii baate.n kab do gha.Dii me.n hotii hai.n dard ke samandar me.n anginat jaziire.n hai.n beshumaar motii hai.n aa.Nkh ke dariiche me.n tum ne jo sajaayaa thaa baat us diye kii hai baat us gile kii hai jo lahuu kii Khilvat me.n chor ban ke aataa hai lafz ke fasiilo.n par TuuT TuuT jaataa hai zindagii se lambii hai baat rat_jage kii hai raaste me.n kaise ho baat taKhaliye kii hai taKhaliye kii baato.n me.n guftaguu izaafii hai pyaar karane vaalo.n ko ik nigaah kaafii hai ho sake to sun jaao ek din akele me.n tum se kyaa kahe.n jaanaa.N is qadar jhamele me.n AMJAD ISLAM AMJAD [Khvaahish = desire; baKht = fate; giraanii = deficiency] [laamakaanii = homelessness/having no roots; hijr = separation] [taKht = throne; taKhtii = plank of wood] [anginat = countless; jaziiraa = island] [beshumaar = innumerable; dariichaa = window] [fasiil = ramparts; taKhaliyaa = solitude] [guftaguu = conversation; izaafii = additional/extra]
  • fun relate
  • jise dil diya woh dilli chali gayi jise pyar kiya woh italy chali gayi dil ne kaha khud khushi(suicide) kar le jalim bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi
  • wo aaye humari mazaar pe diya bhuja ke chaldiye baaki bacha tel sar pe laga ke chal diye
  • Dil diyaa tha dilruba samjh kar... Dil diyaa tha dilruba samjh kar... Kha gayee kameeni kharbuza samajhkar!
  • mainay poocha chand say dekha hai kahin maray yaar sa haseen chand nay kaha saale itnay upar say dikhta hai kya
  • Good morning... Have u done two of the most important things when you wake up today? 1)Pray, so that u may live... 2)Take a bath-so that others may live too!
  • Good looks catch the eyes but Good Personality catches the heart, You are blessed with both!." FLATTERED...?. Don't Be, it was sent to me, I just wanted you to read it.
  • From Monday to Sunday From January To December From birth till my death My feelings for you have never changed. For me, you've always been........... a headache
  • Din ko chain nahi Raat ko aram nahi. Jee na lagay kahen Aay khuda kya yahi pyar hai ? Arey Pagal.. yeh pyar nahi ..... Aaj ka temperature 43 degree celcius hai.
  • Zindagi mein tum bohat aage jaaoo gay kyonkay jahan bhi tum jaooge sab kahain gay, chal be chal aagay chal.
  • Humne tumhari yaad mein ro-ro ke tub bhar diye, tum itne bewafa nikale, usme nahaaiyen aur chal diye :)
  • kabhi kehte the dost hamare ke "jaan bhi maango to hazir hai", Aaj apni bivi ko jaan kehte hai , aur maango to inkaar karte hai
  • tere der pe sanam hazar baar ayengey, Ghanti bajayengey aur bhaag jayengey
  • 2.Har desh ki ek sarhadd hoti hai bache ki bhi ek jidd hote hai aur kitna intzaar karru tere sms ka Kanjosi ki bhi koi hadd hoti hai
  • Dil ke dard ko Dil Todne wale kya jane, Pyar ke riwazo ko yeh zamanna kya jane, Hoti hai kitni Taklif kabar me, wo upar se Phool rakhne wala kya jane.